Saturday 7 August, 2010

Mulaqat Ke Maayne



Logo ko kehte suna hai aksar

Zinda rahe to milte rahenge

Par mera dil to kehta hai har pal
 
Milte rahe to zinda rahenge...
 
 

Wednesday 9 April, 2008

Wohhh!!!!!


Chehra mera tha nigaahe uss ki

Khamoshi main bhi woh baate uss ki ,



Mere chehre pe ghazal likhti gayi

Sher kehti hui ankhe uss ki ,



Shokh lamho ka pata dene lagi

Tez hoti hui saanse uss ki,



Aise mausam bhi guzaare hum ne

Subhe jab apni thee shaamain uss ki ,



Dhyan main uss ke yeh alam tha kabhi

Aankh mehtaab ki yaadein uss ki ,



Neend iss soch se tooti aksar ki

Tanhaan kat ti hain ratain uss ki ,



Duur reh ker bhi sadaa rehti hain

Mujh ko thaame hoye banhain uss ki

Wednesday 26 September, 2007

Shaam Ke Baad


Tu Ne Dekha Hey Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad

Kitney Chup Chaap Se Lagtey Hein Shajar Shaam Ke Baad



Itney Chup Chaap K Rastey Bhi Rahenge La-Elm

Chor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad



Maine Aisey He Gunah Teri Judai Mein Kiye

Jaise Toofan Mein Koyi Chor Dey Ghar Shaam Ke Baad



Shaam Se Pehley Woh Mast Apni Udaanon Mein Raha

Jin Ke Haathon Mein They Tootey Hooye Par Shaam Ke Baad



Tu Hai Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh

Tu Kissi Roz Mere Ghar Mein Uttar Shaam Ke Baad



Laut Aaye Na Kissi Roz Woh Awaara Mizaaj

Khol Rakhte Hein Issi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

Thursday 28 June, 2007

Be - Dard


Insaano Ke Kandhe Pe Insaan Ja Rahe Hain

Kafan Me Lipte Kuch Armaan Ja Rahe Hain

Jinhe Nahi Mili Mohabbat Duniya Mein

Mohhobat Paane, Woh Shamshaan Ja Rahe Hain



Thursday 14 June, 2007

Tasveer


Mujhse Mat Pooch Ki Kyun Aankh Jhuka Li Maine,


Teri Tasveer Thi Jo Tujhse Chupaa Li Maine,


Jis Pe Likha Tha Ki Tu Mere Muqaddar Mein Nahi,


Apne Maathe Ki Woh Tehreer Mitaa Li Maine,


Har Janam Sabko Yahaan Sachha Pyaar Kahaan Milta Hai,


Teri Chaahat Mein To Umr Bita Li Maine,


Mujhko Jaane Kahaan Ehsaas Mere Ley Jaayein,


Waqt Ke Haathon Se Ek Nazm Utha Li Maine,


Ghere Rehti Hai Mujhe Ek Anokhi Khushboo,


Teri Yaadon Se Har Ek Saans Saja Li Maine,


Jiske Sheron Ko Woh Sunke Bahut Royi Thi,


Bas Wohi Ek Ghazal Sabse Chupa Li Maine.
Please if anyone knows the creator of the piece here...I would be obliged to share it.

Sunday 3 June, 2007

Wafaa


Samandar Peer Ka Andar Hai Lekin Ro Nahi Sakta

Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta

Meri Chahat Ko Dulhan Tu Banaa Lena Magar Sun Le

Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta

* original creation by Kumar Vishwas